Monday, November 29, 2010

Book Review: Vivek Chudamani

‘Vivek Chudamani’

By Adi Shankaracharya

Hindi Translator: Munilal

Gita Press, Gorakhpur

ISBN 81-293-0324-8; Pp 158; Rs 12
 
“Vivek Chudamani” Adi Shankaracharya ki un rachnaon me se ek hai jo aaj bhi hamare beech vartaman hain. Adi Shankara jaise mahaan darshnik ke rachna ki samiksha karna mere liye sambhav nahi hai. Is lie mai bas unke kuchh shlokon ke Hindi anuvaad ko yahan prastut kar raha hun jo is pustak me sankalit hain.
 
(Dhanyavaad Gita Press ka jisne is mahaan rachna ko sarva sulabh kiya hai)
 
“Ghade ke nast ho jane par jaise ghatakash mahakash ho jata hai, waise hi upadhi ka lay ho jane par bhaav-vetta swayam hi brahma hi ho jata hai.” (566)
 
“Vriksha ke patte, phool, aur phalon ke samaan naash to jeeva ke deh, indriyan, praan aur buddhi adi ka hi hota hai. Sadanand swaroop swayam atma ka naash kabhi nahi hota; wah to vriksha ke samaan nitya nishchal hai.” (561)
 
“Brahma-vetta purush atyant saghan atmanand ras ke paan se matwala ho kar sakshi roop se sthit hua indriyon ko na to vishyon me lagata hai aur na hi unhe vishyon se hatata hai. Wah apne karmo ke fal ki or to dekhta bhi nahi hai.” (553)
 
“Jo samast mayik bhedon se rahit, antartmroop aur sakshaat prateeti ka avishay tatha atyant sachchidanand swaroop adwait brahm hai, vahi mai hoon.” (515)

“Mai kriya rahit, vikaar rahit, kala rahit aur nirakaar hun tatha nirvikalp, nitya, niralamb aur advitiya hun.” (516)

No comments: